har ek shab meray taza azaab main guzri
tumharay baad tumharay khwab main guzri
main ek phool houn mujh ko rakh kar bhool gayee
tamam umer usi ki kitaab main guzri
mohabatoun ka mujh say nesaab mangtha hai
chahtaoun ka apni hesaab mangtha hai
ajeeeb shakhs hai sab kuch janay kay bawajood
aksar apni batao ka jawab mangtha hai
bikaar khyalo say lipt kar nahi dekha
jo kuch bhi hou mein nay palat kar nahi dekha
es dar say kut jay na banaye rishtay
ankhoun nay terey rah say hat kar nahi dekha